Ek abbas hai ek shabbir hai

- Rizwan Zaidi (2015)


Ek abbas hai, ek shabbir hai..(4)

Ya hussain...
Ek abbas hai, ek shabbir hai..(2)

Ek qur'aan hai ek tafseer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

1. Dono deen e payambar ki hai zebo zayn..(2)
hai Mohammad ki tasweer mera hussain
aur Abbas haider ki tasweer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

2. Rabb ki takhleeq ke dono shahkaar hai..(2)
saare aalam ke dono madadgaar hai
ek khwabe nabi, ek taabeer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

3. Jism aur saaya bankar hi chalte hai ye..(2)
ek pal mein muqaddar, badalte hai ye
ek katib hai aur, ek taqdeer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

4. Ek kaaba hai aur ek nigehbaan hai..(2)
ek Mohammad hai aur, ek Imraan hai
ek suraj hai aur, ek tanveer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

5. Jiska chahe muqaddar palat de abhi..(2)
Kufa o shaam ko yeh, ulat de abhi
khoo'n mein dono ke haider ki taseer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

6. Dushmanane ali ye wali ke liye..(2)
dushmanane khuda o nabi ke liye
ek khanjar hai aur, ek shamsheer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

7. Do badanhai magar ek ehsaas hai..(2)
jism shabbir hai, jaan abbas hai
lauhe mehfooz par, bhi ye tehreer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai

8. Saara jaaho hasham noor dono ka hai..(2)
tujh pe bhi ye karam, noor dono ka hai
tere ash'aar mein, ye jo taseer hai
Ek abbas hai, ek shabbir hai..(2)
ya ghaazi