Ali hamara hai

- Rizwan Zaidi (2015)


Ali ali ali ali ali ali..(2)
haider maula haider maula
Ali ali ali ali ali ali, ali maula..(2)

Lagao milke ye naara, ali hamara hai
ali hamara hai..(2)

Jahaan saara tumhara, ali hamara hai
Lagao milke ye naara, ali hamara hai
ali hamara hai..

1. Tumhara apna muqaddar hamara apna naseeb..(3)
faqeer shaam tumhara..(2), ali hamara hai

2. Rasool o Zehra o Hasnain bhi hamare hai..(3)
hai phir Khuda bhi hamara..(2), ali hamara hai

3. Jo bhaage maut ke darr se wo sab tumhare hai..(3)
wo jisne maut ko maara..(2), ali hamara hai

4. Mila jo maale ghaneemat qaseer khaibar mein..(3)
to har sahabi pukara..(2), ali hamara hai

5. Tumhara rahbar e aazam pisar hai hinda(l.a.) ka..(3)
nabi ki aankh ka taara..(2), ali hamara hai

6. Khilaaf hai jo hamare ye nasle sufiyani..(3)
unhe ye kab hai gawara..(2), ali hamara hai

7. Ali ke ek ishare pe doobta suraj..(3)
ye kehke ubra dobara..(2), ali hamara hai