Ya ali haq ailiya

- Rizwan Zaidi (2015)


Haider haider..(4)
Mazhar e zaate khuda
peshwa e auliya
aye wasiye mustafa
ka tu hajat rawa

Ya imam-ul-muttaqeen
sayyed-ul-awsiya
ya ameer-al-momineen
ya imam-al-awliya

Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

Teri azmat...
teri azmat kaun samjhega siwae kibriya
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

1. Zaat hai teri ke jis par ho nahi sakta qayaas
ali ali ali ali ali ali ali haider
jisko khud tauheed ne odha hai tu hai wo libaas
jism tera...
jism tera kibriyai ka liwada ban gaya
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

2. Kul ka kul eeman hai allah ki pehchaan hai
ali ali ali ali ali ali ali haider
tu kahi rehmaan hai tu hi kahi bhagwan hai
ek tere..
ek tere sajde ne duniya se khuda manwa liya
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

3. Hai khuda jiska musawir tu hi wo tasweer hai
ali ali ali ali ali ali ali haider
tu khuda ka haath hai tu katib e taqdeer hai
haath hai...
haath hai tere ke jinse putla e adam bana
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

4. Nuh, Ibrahim aur Musa ke tu aaya hai kaam
ali ali ali ali ali ali ali haider
ibn e maryam ki zabaa'n se bhi kiya tune kalaam
mushkilo mein...
mushkilo mein ambiya ne bhi tujhe di hai sadaa
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya


5. Kaun samjhega ke kitna hai khara sona tera
ali ali ali ali ali ali ali haider
tere sone ko razae deke khaliq ne liya
ab to jo..
ab to jo teri raza hai, hai wahi rabb ki razaa
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

6. Kisne phailaya jaha'n mein juzz tere khaliq ka noor
ali ali ali ali ali ali ali haider
khana e kaaba mein juzz tere hua kiska zahoor
juzz tere..
juzz tere kiske liye bhi ghaar mein yu darr bana
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya
 
7. Baat jab bhi koi karta hai shab e me'raaj ki
ali ali ali ali ali ali ali haider
mujhko lagta hai ke baatein hai ye tere aaj ki
tere lehje...
tere lehje mein hi to kausain par bola khuda
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

8. Aalam e imkaa'n pe tere hukmarani hai imaam
ali ali ali ali ali ali ali haider
tu jise chahe zamano mein ataa karde dawaam
hai wasiye...
hai wasiye mustafa tu hai tuhi mushkil kusha
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya

9. Wo jaha'n par noor saare ambiya hai saff ba saff
ali ali ali ali ali ali ali haider
saath rizwa'n ke padhe ye manqabat jaakar najaf
meesamo...
meesamo sajjad ki maula hai tujhse ilteja
Ya ali haq, ya ali haq, ya ali haq ailiya
ya ali haq ailiya