Uska rutba sare mehshar bhi nirala hoga
- Mukhtar Hussain (2013)
Ya ali, ya ali, ya ali, ya ali
Uska rutba sare mehshar bhi nirala hoga..(2)
paas jiske bhi wilayat ka, hawala hoga
uska rutba...
1. Intesaab uska likha jayega haider haider..(2)
jab bhi tehreer risalat ka risala hoga
uska rutba...
2. Rizq takseem ali karte hai shak hai jisko..(2)
hashr ke din wo jahannam ka niwala hoga
uska rutba...
3. Chaal taaro ke badalne pe wo qadir hoga..(2)
pattharo pe jo alam gaad ne wala hoga
uska rutba...
4. Dhundhna malik e ashtar ko ali ke hi qareeb..(2)
hai jaha'n chaand waha chaand ka haala hoga
uska rutba...
5. Mai bila fasl ka qael hu'n so aabe kausar..(2)
unke chullu se piyunga wo bhi pyaala hoga
uska rutba...
6. Aaj jis jis ko bura lagta hai ye kaala alam..(2)
uska mu'h hashr ke maidan mein kaala hoga
uska rutba...
7. Paalne wala khuda hi ka wo hoga akbar..(2)
abu talib ne jise god mein pala hoga
Uska rutba sare mehshar bhi nirala hoga..(2)
Ya ali, ya ali, ya ali, ya ali