Al-ajal Ya Imam

- Ali Deep Rizvi (2010)


Al-ajal ya imam e zamaa'n..(2)
aye muntaqeem e karbala, ye waqt hai zahoor ka..(2)
jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2)
khiza mein reh nahi sakte wo sab bahaar me hai
jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2)

1. Unhe zamane ki phir fikr ho nahi sakti..(2)
jo dil se hujjat e akhir ki reh guzaar mein hai

2. Koi bhi haadsa unko dara nahi sakta..(2)
jinhe yaqeen hai maula ke ham hisaar mein hai

3. Amal hamare khudaya qubool ho jaye..(2)
imam humse ho raazi hum intezaar mein hai

4. Wohi to sacche sipahi hai aaj maula ke..(2)
amal ke saath jo mehdi ke intezaar mein hai

5. Na jaane kabse ye dil muntazir hai mehdi ka..(2)
nigaahe deedaye hasrat ke hi khumaar mein hai

6. Hamesha unki zabaa'n par hai al-ajal maula..(2)
imam e asr ke jo dil se intezaar mein hai

7. Bata rahi hai ali deep ki mawaddat yeh..(2)
hum aaj jo bhi hai maula tumhare pyaar mein hai

jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2)
aye muntaqeem e karbala, ye waqt hai zahoor ka..(2)
 ye waqt hai zahoor ka..(2)