Karbala chalo

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2016)


ZEHRA KI AARAHI HAI SAD KARBALA CHALO
ABBAS PESHWA HAI MERA KARBALA CHALO

1. DUNYA KE DARDO GHAM KI DAWA KARBALA ME HAI
JANNAT KI QUSH GAWAAR FIZAA KARBALA ME HAI
KYA KAM KI AB BHI KHAAKE SHIFA KARBALA ME HAI
AB BHI SITAMGARON KI QAZA KARBALA ME HAI
AAWAAZ DE RAHI HAI WAFA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A...............

2.ZEHRA KI HAI DUA KE AZADAR KAM NA HO
SARWAR KA GHAM HO SAB PE ZAMANE KE GHAM NA HO
YAA RAB JAHAANE FAANI KA GOHAR ALAM NA HO
BEKAAR RAASTON PE KISI KE QADAM NA HO
BAS EK HEE RAAHE KHUDA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A...............

3.DUNYA KE ZULMO JOUR BATANE KE WAASTE
GHAZI KO HAAL APNA SUNAANA KE WAASTE
ZAQME JIGAE YE SHEH KO DIKHAANE KE WAASTE
KARBOBALA ME NOHA SUNAANE KE WAASTE
KARNE BA-EED RANJO BALA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A.................

4.HAI ROUZAE HUSSAIN MERA MAQSADE HAYAT
ULJHAN ME DIN GUZARTE HAIN BECHAINIYON ME RAAT
WO DEKHLEN JAHAAN PE KATE THE JARI KE HAATH
HAM JAAYEN KARBALA BHI TO MAA KI DUA KI SAATH
PAANE KO DARDE DIL KI DAWA KARBAL CHALO
ZEHRA S.A...............

5.HAMSE MILENGE AAQRI REHBAR WAHIN KAHIN
HASNAIN KA SUNA HAI KI GHAR HAI WAHIN KAHIN
REHTE HAIN KARBALA ME PAYAMBAR WAHIN KAHIN
LE JAAYE KAASH HAMKO MUQADDAR WAHIN KAHIN
SUBHE MASAA YAHI HAI DUA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A.............

6.SHEHRE NAJAF HEE SHAAHE NAJAF KA DAYAAR HAI
GULSHAN SHAHE ZAMAN KA WAHIN LAALAZAAR HAI
GUNCHON KE LAB PE SALLE ALAA BAAR BAAR HAI
GUNCHE WAHIN WAHIN PE JINA KI BAHAAR HAI
LENI HAI GAR JINA KI FIZAA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A.............

7.ABBAS KE ALAM KO LIYE DOSH PAR NIKAL
KARBOBALA HAI JAANA TO PAIDAL NAJAF SE CHAL
BAYYAT KO APNE PAA'ON SE TU BHI ZARA KUCHAL
SAJJAD CHAL RAHE THE JAHAAN PAR SAMBHAL SAMBHAL
ZAINAB S.A KI YAAD AAJ RIDA KARBALA CHALO
ZEHRA S.A................

8.JAB SE HUI NASEEB MUBARAK KO KARBALA
AANKHEN LAHU BARASTI HAI REHAAN BAAREHA
SARWAR KA HAI NASHEB ME ROZA BANA HUA
ZAINAB BHI HAAYE SHAAM SE KARTI HAI BAYAAN
TANHA HAI AB BHI BHAAYI MERA KARBALA CHALO

ZEHRA S.A KI AARAHI HAI SADA KARBALA CHALO
ABBAS PESHWA HAI MERA KARBALA CHALO