Ishq e ali o zahra hussain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)


Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

1. Arshe bari ho jiska musalla
sajda jise karta ho qibla
jiski sukunat sehne kaaba
jiska amama gumbade khazra
jisse hai aabru, deene khuda ki wo hussain
haideri zebo zayn, fatima zehra ka hai chayn
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

2. Shane qayadat roohe imamat
jiski mawaddat ajre risalat
barsare naiza husne tilawat
sabr hai jaisa waisi shaja'at
aye shahe mashraqayn, aye dil o jaane karbala
aap hi ibteda, aap hi ishq ki intehaa
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

3. Chehra tera wan-najm ki surat
gesu tere wal-layl ki aayat
badr e tamami qad aur qamat
aankho ki hai wan-noor alamat
qalbe qur'an ke, noor mein baham hai hussain
usme ek lafz hai, uska mujassam hai hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

4. Hurr se dilawar kya the, kya hai
rahib o fitrus tujhpe fida hai
jitne shaheede karbobala hai
teri ataa pe mehwe sanaa hai
sura e rehman ki, puchiye kya tafseer hai
khud kahega khuda, bus wo mera shabbir hai
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

5. Karbobala ab humko bulaye
farshe zamee'n par arsh dikhaye
khake shifa dastaar banaye
roze pe tere sar ko jhukaye
karbala naam hai, ishq ki us me'raj ka
paa sake koshishe, karke bhi na jise ambiya
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

6. Kaisi sahar ashoor ki aayi
kaisi sitam ki aandhi chhayi
baqi rahe na bete bhai
roti rahi tujh par tanhai
ran ko jo bhi gaya, tujhpe fida hota raha
ro rahi hai aaj bhi, gham me tumhare karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

7. Fakhr hame salman o raza hai
humko mayassar farsh e azaa hai
fatima zehra ki ye ataa hai
lab pe hamare jo nauha hai
baadshahi se badh-kar, hai hamari naukri
dhadkane qalb hai, naam e hussain ibn e ali
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain