Ali ali ali musa reza

- Ali Safdar (2006)


Ya ali..(4)
Ali ali ali ali ali ali..(4)
Ali ali ali ali ali ali..(4)

Hazi hue hai ehle azaa, aapke darr par mehwe buka
lekar dard e karbobala, kijiye maula izn ataa
dushmane dee'n ko deke sazaa, hum bhi kare kuch ghum ki dawaa

Ali ali ali musa reza..(2)
ali ali ali ali musa reza
Ali ali ali musa reza..(2)

1. Tumse ye zamana roshan hai
ae ibne madina waliye toos..(2)
tum hakime deen o duniya ho
ae rahbar e haq mukhtar e nufoos
nazdeek e rage jaa'n tum hi to ho
hota hai ye humko bhi mehsoos
Ali ali ali musa reza..(2)

2. Ek shokhe wegha hai dil mein bohot
ae shahe khorasa'n kijiye madad..(2)
phirte hai abhi tak duniya mein
wo ehle sitam wo ehle nasab
yu unko mita de hasti se
hasil hi na hoga mane lahab
Ali ali ali musa reza..(2)

3. Karbobala ke matamdaar
bandhe hue hai sar se kafan..(2)
aapke hukm ke talib hai
bus ek eshara ho jo biz'an
dushman e haq ki barbadi ko
deke zamee'n par charkhe kohan
Ali ali ali musa reza..(2)

4. Mehdi e daura'n ke
tegh bataf jaa'nbaaz hai hum..(2)
mangi thi dua jo zahra ne
un lafzo'n ka aijaaz hai hum
jo karbobala se uthti hai
us matam ki awaaz hai hum
Ali ali ali musa reza..(2)

5. Zulm o sitam ki har basti ko
aag lagakar raakh kare..(2)
kufr ke sab meenar girakar
seena e baatil chaak kare
aale mohammad ke dushman ko
kyu na supurd e khaak kare
Ali ali ali musa reza..(2)

6. Is binte nabi ki tumko qasam
wo jisne sahe hai ranjo mahan..(2)
farzand pe jiske teer chale
wo kushta e sam wo laashe hasan
ek jiska pisar maqtool pada tha
sehra mein begoro kafan
Ali ali ali musa reza..(2)

7. Wo karbobala ka bann jisme
akbar ka kaleja dafn hua..(2)
abbas ke bazu cheen liye
asghar ka sarapa dafn hua
naizo pe rakhe the jinke sar
wo koi na laasha dafn hua
Ali ali ali musa reza..(2)

8. Rota hai abad un pyaaso ko
un ranjo alam ke maaro ko..(2)
ae shahe khorasaa'n hukm kare
khuddamo ko mukhtaro ko
aap kahe to aag lagade
mehlo ko darbaaro ko
Ali ali ali musa reza..(2)