Ya fatima zehra
- Shozab Abbas (2016)
Chouda so baras se yahi har dil ki sada hai
Pehlu tera zakhmi hai na marham na dawa hai
Ya fathima zehra s.a ×2
Ya fathima zehra s.a ×4
Roza tera weeran hai Ya fathima zehra s.a
Ya fathima zehra s.a ×4
Tu binte payamber hai tu qatune jina hai
Tu maniye kousar hai tu sadaat ki maa hai
Tu nasle payamber ki baqa ka hai zariya
Ya fathima zehra s.a ×4
Bibi teri tasbeeh namazo'n ki hai zeenath
Bibi teri chadar mein hai taskeene risalath
Bibi teri choukhat pa utar aaya sitara
Ya fathima zehra s.a ×4
Baba ka kafan bhi tere maila na huwa tha
Ummat ne tere pehlu pa darwaza giraya
Mohsin ki shahdat huwi pehlu tera roots
Ya fathima zehra s.a ×4
Karte thai shikayat jo tu roti thi pidar ko
Ya raat ko girya kare ya roye sehar ko
Kis darja mohalle pa gira'n tha tera girya
Ya fathima zehra s.a ×4
Atthara baras aur asa haat mein bibi
Kya zulm sahe pusht jo qam ho gaye teri
Khoo'n rota hun yaad aata hai pehlu e shikasta
Ya fathima zehra s.a ×4
Jab ghusl ali a.s de chuke chillaye basad ghum
Salman ne poocha sababe girya o matam
Farmaya na poocho jo meri aankho'n ne dekha
Ya fathima zehra s.a ×4
Ye najdi ye salafi ye wahabi ye saudi
Baher se musalman hain andar se yahudi
In logo'n ne bibi tere qubbe ko giraya
Ya fathima zehra s.a ×4
Shozab tera zakir hai to Salman hai shayer
Dono tere maddah hain dono tere zayer
Kagaz pa bana lete hain alfaaz ka roza
Ya fathima zehra s.a ×4
Roza tere weeran hai Ya fathima zehra s.a
Ya fathima zehra s.a ×4