Ya ali ya sajjad

- Shozab Abbas (2016)


Ya Ali a.s  Ya Sanjad a.s ×3

Karbala hai aabad,,, ya ali a.s ya Sajjad a.s
Ghumzadon ki faryaad,,ya ali a.s ya Sajjad
Hogaya ghar barbaad,,ya ali a.s ya Sajjad a.s
Aao behre imdaad,,,ya ali a.s ya Sajjad a.s×3

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Haye wo shame ghareeba'n ka andhera haye
Haye sadaat ke qaimo'n ka wo jalna haye
Haye beemar wo seh roz ka pyasa haye
Haye qaimo'n mein tha zainab tera Pehra haye
Ghum tha pyaso'n ka ajab ghum wo sahe jati thi
Pehra dete huwe zainab ki sada aati thi

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Khaak par sogaya jab ban mein shahe karbobala
Aina aina ki sadao'n ka huwa ik noha
Dekhte kya hain ke ik nahni zaeefa wallah
Ran mein aaye hai a kehte huwe baba baba
Sehm kar khouf se aada ke wo chillati thi
pehra dete huwe zainab s.a ki sada aati thi

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Haye sajda wo imamath ka sare dashte bala
Haye wo zainabe be sar ka sare be parda
Ik taraf aag se jalta huwa qaima dekha
Ik taraf dushmane shabbeer ka naiza dekha
Jalte qaimo'n mein hi mar jaye'n ya baher nikle'n
Kis tarha parda bachaey'n ye zara batlaeye'n

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Khoon aankho'n se baha madare asghar ka jahan
Khaak ba dard se be saaqhta chillaeye wahan
Aur noha tha labe madare asghar pa aaya'n
Aaj ke baad hame koun kahega Amma
Mera daman bhi jala kokh bhi ujdi haye
Aaj barpa ye qayamat huwi kaisi haye

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Rukh najaf ko kiya laila ne padha ye noha
Mere akbar ke kaleje ko zara dekh khuda
Aaj ummat ne risalat ka sila kaise diya
Shakle ahmad ke hi seene mein utara naiza
Ab kahan jaoo'n mein ye ghum ki kahani lekar
Kaise jee paoongi akbar a.s ki jawani lekar

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Lashe akbar hai kahin bazoo e abbas a.s kahin
Zulm hota hai kahin zulm ka ehsaas kahin
Aik umeed kahin aik ki hai aas kahin
Khushkh mashkeeza kahin pani kahin piyaas kahin
Haye maidane jafa karbobala wa waila
Har taraf dashat se aati thi sada wa waila

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Ban mein aati hai jahan girhaeye qasim ki sada
Hai wahan girya kuna madare qasim aey khuda
Maa ka ghum gush ka wo aalam wo sare karbobala
Koun farwa ko sambhalega sare dashte bala
Khoon Rota hai fughan karta hai mera beta
Ban mein be jurm o khata deen pa jo khurbaan huwa

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Haye irfan wo maqtal wo qayame sarwar
Haye shozab kabhi zainab kabhi nahna baqir a.s
Haye rota hai koi ban mein ye kehkar akbar
Haye lab par hai kisi ke mera nahna asghar
Har koi dasht main rota hai fugha'n karta hai
Waqte aakhir wo faqat itna aaya'n karta hai

YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4

Toota naiza liye zainab s.a ne diya jab pehra
Aik ghoda sare maqtal jo najaf se aaya
Binte haider ne ye abbas ke lehje mein kaha
Sooeye qaima nahi chohdo'ngi yahi'n par rukja
Teri ghurbat ke sahare ke liye aaya hun
Haye zainab a.s mujhe pehchaan tera baba hun,,,,,,