Ya fatima ya zahra

- Ali akbar ameen (2016)


Ya fatema, ya zahra...

Sitam ki ho gai ye inteha'n rasul ke baad,
hamesha roti rahi fatema rasul ke baad...

Ya fatema, ya zahra..)×4

Dete hai aapko hum, sare dukho ka pursa,,,(ya fatema ya zahra)×2

1) bade rasul haye kesi qyamat aai,
darbar me vo bibi deti rhi duhai,
ay shahzadi kyo'n ye dushman hui khudai,
che maah bhi na guzre ummat nay zulm dhaya

Ya fatema ya zehra..(4)

2) koi to ye bataye kis jurm ki saza thi,
ay kalma goyo aakhir bibi ki kya khata thi,
mazluma ke labon par ye kesi ilteja thi,
ya rab ye sayeda par ab kesa waqt aaya

ya fatema ya zehra(4)

3) mohsin ko qatl kar ke vo dhai thi qayamat,
The ashq baar haider larzi nabi ki turbat,
ab isse badh ke hogi na aap par musibat,
pehlu pe shahzadi dar aap ka giraya

Ya fatema ya zehra(4)

4)Rassi gale me bandhi or le gye ali ko,
kesi nazar lagi hai ye gulashne nabi ko,
dhala hai mout may kyo'n zahra ki zindgi ko,
zahra ki zindgi me har simat hai andhera

Ya fatema ya zehra(4)

5) zinda rhi na bibi ye mushkile uthakar,
rone diya na ghar me kese the vo sitamgar,
haye rasulzadi kesa tha ye mukkdar,
athhara hi bars me muh mout ko dikhakaya

Ya fatema ya zehra(4)

6)Maa se lipat ke kese hasnain ro rhe the, dafnake murtuza bhi bachain ho rahe the,
zainab ke sath shabbar jaa'n apni kho rhe the, shab me hi fatema ka lekr chle janaza

Ya fatema ya zehra(4)

7)Bibi mouhaf karna yuh sharmsar hai hum,
ujadi hui lahad par ab sog var hai hum,
ey jantul bakaiyya haa'n gum ghusar hai hum,
naa shmma hai lahed par hai qabr par na saya

Ya fatema ya zehra(4)

8)ab inteqame zahra lenge imame mehdi,
hum sth hoge unke ban kar gulame mehdi,
duniya bhi dekh legi aakhir qyame mehdi,
akber ki or zafar ki ye hi hai ab tmnna.....

Ya fatema ya zehra(4)