Ya fatima hasan ke janaze pe aaiye

- Ali Safdar (2016)


Haye hasan, haye hasan..(2)
haye hasan, haye haye hasan..(2)
haye hasan
laashe hasan pe kaise na aasu bahaiye
qabr e rasool kehti hai maa ko bulaiye

Ya fatima hasan ke janaze pe aaiye..(2)
Haye hasan
qabr e rasool kehti hai..(2) maa ko bulaiye
Haye hasan
Ya fatima...

1. Kaisi banai zeher ne surat to dekhiye, haye hasan
tukde jigar tamaam qayamat to dekhiye, haye hasan
aai hai neend god mein..(2)
apni sulaiye

2. Pehlu e mustafa mein pisar ki jagah nahi, haye hasan
jaise ye  chashm o jaan o dile mustafa nahi, haye hasan
hasid ye keh rahe hai..(2) janaza hataiye
haye hasan

3. Afsurda hai najaf to madina udaas hai, haye hasan
farwa ye puchti hai ye kaisa libaas hai, haye hasan
is tarha sab ko chod kar..(2), maula na jaiye

4. Kya kya jafaye dil pe utha kar chale gaye, haye hasan
shabbir beqaraar hai shabbar chale gaye, haye hasan
aaenge phir na laut ke..(2), jitna bulaiye
haye hasan

5. Ibne hasan ko ranj o bala se nikaliye, haye hasan
bichda hai pehli baar padar se sambhaliye, haye hasan
karbobala yateeme..(2), hasan ko dikhaiye
haye hasan

6. Aale nabi ki khaak udaane ka roz hai, haye hasan
sar peetne ka ashk bahane ka roz hai, haye hasan
bayno buka se arsh ka..(2), paaya hilaiye
haye hasan

7. Laashe hasan pe teero ko barsa rahe hai kaun, haye hasan
Allah ke habeeb ko tadpa rahe hai kaun, haye hasan
chehro se kalma goyo ke..(2), parda hataiye
haye hasan

8. Guzri hai kya imam e hasan par na puchiye, haye hasan
kitne lage hai teer kafan par na puchiye, haye hasan
aasu thame hi na to ye..(2), qissa sunaiye