Hussain Ya Hussain

- Ali akbar ameen (2016)


HUSSAIN YA HUSSAIN(4)

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)
Noor e diley sayyada noor e khuda ya husain(2)

1)
Kijiye moula meri aap ye hajat rawa;
Tere he nokar hai hum ey biney shere khuda;
Apni tow jannat hai bus karbobala ki fiza;
Izne ziyarat humey kardey ata ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

2)
Dar pay tere jub say ki humny jabi'n apni kham;
Dilko soko'n hai bohot koi nahi humko gham;
Kijiye hajat rawa Rakhiye hamara bharam;
Khak ko jaise kiya khak e shifa ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

3)
Zulm hue isqadar giriya kuna aasama;
Qatl hua dasht may haae mera be zuba'n;
Pyasi sakina say bhi chini gai baliya'n
Uske labo'n par rahi bus ye sada ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

4)
Chowda sow sadiya'n hui par na ruka silsila;
Tere mohibbo pay hai abbhi musalsal jafa;
Parchame ghazi magar humne na jhukne diya;
Zulm bhadha jub kabhi humne kaha ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

5)
Dashte musibat say jub aapne halmin kaha;
Nanhe sipahi nay phir di ye sada marhaba;
Bus mujhe lejaiye dijiye izne wigha;
Shamil e mehzar hai jub naam mera yaa husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

6)
Jung teri dekhkar kaap utha tha falak;
Akbar o agshar nahi na rahey abbas tak;
Tuta nahi hosla hogaye haira malak;
Rab nay kaha irjai lout ke aa ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)

7)
Akbar o salman hai gham may tere nauha khwaN;
Bhule nahi aapki bekasi shah e zama;
Karte hai matam bapa padhte hai nauha waha;
Jubbhi hai bichhta kahi farshe aza ya husain

Aye biney mushkil kusha shahe hoda ya husain(2)