Sajjad haye sajjad

- Ali akbar ameen (2016)


Haye Sajjad Beta Sajjad(2)

Nezey pay jo dekha sheh ka sir;
zainab nay kaha ye rorokar;
sajjad zara aakhe'n kholo;
dekho ye qayamat ka manzar...

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Maa ki ye sada hai....

Haye Sajjad Beta Sajjad

Kyon ghash may pada hai....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Zainab nay sada di uth jao;
Apno nay qaza ki uth jao;
Ummat nay jafa ki uth jao;
Hamse na wafa ki uth jao;
Sub khtm hua hai....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Baba ka sina pe sir dekho;
Ujde hue apna ghar dekho;
Khati hai phuphi patthar dekho;
Makhtal ka zara manzar dekho;
Her koi khafa hai......

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Waade ko nibhaya sarwar ne;
Sir apna kataya sarwar ne;
KhooN apna bahaya sarwar ne;
Karbal ko basaya sarwar ne;
Kya kya na kiya hai.....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Madro siva tere dilbar;
Makhtal may nahi koi yawar;
Ab mujhko satata hai ye dar;
Chin jaae na sir say bhi chadar;
Sadma ye bada hai.....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Sunle ye sadae ey beta;
Marjae na maae ey beta;
Hoti hai jafa ey beta;
Chhinti hai ridae ey beta;
Ek hashr bapa hai.....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Bikhre hue quraan ke paarey;
Dekhe nahi jaate hai'n mujhsay;
Sehme hue baithey hai bacchey;
Ab kehte hai nahi hum hai pyase;
Ye kaisi jafa hai.....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Kya jaane ke hum par ey beta;
Haste hai sitamgar ey beta;
Ab ghar na raha ghar ey beta;
Pur dard hai manzar ey beta;
Kya jaane hua hai.......

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)

Aasif ye sadae aabid nae;
Kya jaane suni hogi kaise;
Kya koi padhe or kya likhhe;
Wallah ke humne zainab say;
Akbar ye suna hai.....

Haye Sajjad Beta Sajjad(3)