Qaid khane mein sakina mar gayi

- Ali Deep Rizvi (2015)


Haye sakina, haye sakina..(3)
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)
Qaid khane mein sakina mar gayi..
dastaa'n apni raqam wo kar gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

1. Jab se bichhdi baap se roti rahi..(2)
siskiya zindaan mein bharti rahi
sabke daaman aasuo se bhar gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

2. Jhidkiya khati rahi hai shimr ki..(2)
aag masooma ke daman me lagi
raat ki tareekiyo se tal gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

3. Apne baba ki bohot thi laadli..(2)
jab se bichdi thi bohot faryaad ki
baap ko deti sadaa darr darr gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

4. Zulm ki ye inteha thi jo hui..(2)
laadli shabbir ki sehti rahi
qaidi banke deen ki khatir gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

5. Tasht mein baba ka sar jab mil gaya..(2)
chayn masooma ko usdum aagaya
baba baba kehte kehte mar gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

6. Aaj bhi zindaa'n se aati hai sadaa..(2)
qafela apne watan ko jaa chuka
ek bachi laut ke na ghar gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

7. Sayyada zainab pe mushkil thi gadhi..(2)
laadli bhai ki zindaa'n mein rahi
wo madine aasuo'n se tarr gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)

8. Ye qalam ali deep ka hai likh raha..(2)
zulm kitna haaye bibi ne saha
haye wo zindaan mein hi marr gayi
Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)