Bhai ka apne chehlum manane

- Syed Tauqeer Abbas Zaidi (2010)


Aai hai zainab karbobala mein
bhai ka apne chehlum manane

bhai ka apne chehlum manane..(2)
karbobala mein aai hai zainab

1. Kya bebasi thi, kya bekasi thi
bhai ko apne kab ro saki thi..(2)
sheh ki lahad par aasu bahane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

2. Qaide sitam se pakar rehai
zinda mein sheh ki khokar kamai..(2)
bhai se apne waada nibhane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

3. Kya kya uthaye sadme safar mein
kaise guzari veeran ghar mein..(2)
rudaad apne gham ki sunane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

4. Be chadari ki seh kar aziyat
apne dilo par seh kar musibat..(2)
ghaazi ko apne nauhe sunane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

5. Phir hai irada karbobala ka
karbobala mein sheh ki azaa ka..(2)
shame alam se maqtal sajane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

6. Jo alqama pe thanda hua tha
ghaazi ke haatho jo gir gaya tha..(2)
ghaazi ka apne parcham sajane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

7. Chehlum karenge ab karbala mein
royenge qaidi sheh ki azaa mein..(2)
khaake shifa ki hurmat badhane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne....

8. Karke tawafe qabr e shahe deen
qaidi zafar phir hote hai ghumgeen..(2)
sheh ki lahad ko kaaba banane
karbobala mein aai hai zainab
bhai ka apne...