Karbala karbobala

- Mohammad Raza Gopalpuri (2016)


Hai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaa
karbala, karbobala, karbobala, karbobala

hai mere dil ki sada, karbala karbobala
Az khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobala
karbala, karbobala

1. Ye zamee'n wo hai jahan peer o wali aate hai
rozo shab arsh se anwar e jali aate hai
khuld se chalke ziyarat ko nabi aate hai
rone farzand ko zehra o ali aate hai
suno aati hai sada, laal par apne buka, kar rahi hai fatema
karbala, karbobala

hai mere dil ki sada, karbala karbobala
Az khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobala
karbala, karbobala

2. Chote chote the bohot aun o mohammad lekin
nikle jaa'n dene ko shabbir pe dono kamsin
zakhmi ho ho ke gire jis ghadi dee'n ke mohsin
waqt tha zainab e muztar ke liye kitna kathin
haye wo aaho buka, lab pe tha shukr e khuda, koi shikwa na gila
karbala, karbobala

3. Tashna lab the yahan atfal o batool o haider
yani aulad e shehenshah e bahisht o kausar
kahin baqir to kahin pyasi sakina muztar
kha gaya teer e sitam tashna labi me asghar
alqama behti rahi, saare ghum sehti rahi, aur yehi kehti rahi
karbala, karbobala

4. Ye zamee'n wo hai jahan khai hai akbar ne sina
jiske jeene ki dua karti rahi khaime me maa
ghum me jiske gai beenai e sardar e jina
thokre kha kha ke kehte the ke akbar ho kahan
jawa saal pisar, aur ek budha pidar, laash uthe to kyukar
karbala, karbobala

5. Lasha e qasim e gulru yahan pamaal hua
abhi pura bhi nahi ter wa(13) saal hua
jism tukde hua aur zakhmi khad o khaal hua
khoon itna baha maidan e wigha laal hua
bole sheh noor e nazar, muntazir hai madar, kya kahu mai jakar
karbala, karbobala

6. Sogaya haay alamdaar labe nehre furaat
margaya dil mein liye apne wigha ke jazbaat
kardiye mashke sakina pe fida apne haath
fatema kyu na kare sher ka matam din raat
jo thi masoomo ki aas, ab na bujh payegi pyaas, margaya sher abbas
karbala, karbobala

7. Teer e seh shoba jo arbaab e sitam ne maara
cheda asghar ka gala bazu e sheh bhi toda
munqalib hogaya aghosh e pidar mein bacha
maa ki godi hui veeran to khali jhula
qabr mein bhi mehlaqa, chayn se reh na saka, kaata uska bhi gala
karbala, karbobala

8. Kya sunau tumhe ashoor ke din ki roodad
sinae sibte payambar pe jo baitha jallad
fatema karti rahi baali pe aaho faryad
chal gaya gardan e mazloom pe khanjar naushad
andhiya chalne lagi, bibiya rone lagi, chadar e chinne lagi
karbala, karbobala

Hai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaa
karbala, karbobala, karbobala, karbobala
hai mere dil ki sada, karbala karbobala..(2)