Yaad aayi na tumhe fatema sughra

- Farhan (ALI WARIS) (2008)


Baba ka karte karte intezarr...
Jab thak gyi sughra...
Ro ro k apne baba ko...
Sughra ne khat likha...
Tum gye ghr se meri luth gyi duniya baba..
Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba..×2
Karbala jake hamein bhool gye kia baba..
Yaad ayi na...×2

1. Kya kahun usne hai kis tarha se tadpaya mjhe..
Eid ka chand falak par jo nazar aaya mujhe..
Us ghadi dil may mere..×2
   Dard utha tha baba...
Yaad ayi na tumhein..×2

2. Baba thi neend guzari hai yahan ro ro kar..
Mjhko eidi may mile askh jafa zakhme jigar..
Mainey har eid pe ye..×2...Nauha padha tha baba
Yaad ayi na..×2

3. Ab to asghar bhi mera ghutniyon chalta hoga.
Yaad kar kar mjhe jhoole may machalta hoga..
Mujhko sab yaad hai par..×2 zulm hai kaisa baba...
Yaad ayi na tumhe...×2

4. Sunti hu dasht may akbar ki rachayi shaadi...
Bhai qasim k bhi haato may lagi hai mehndi...
Jab sakina ko wahan..×2
Negh diya tha baba...
Yaad aayi na tumhe...×2

5. Baba qismat se muqaddar se gila kya karna..
Mere akbar ne bhula daala jo wada apna...
Khat mera dasht may jab..×2
Aapne paya baba...

6. Jab nazar aate hain bacchon k ye khali hujre...
Yaad phir auno-mohd ki satati hai mjhe...
Sab ki yaadon ne mjhe..×2
Khoon rulaya baba...

7. Kaise farhan ye mazhar ye masaib likhe...
Fatima sughra k ehsas qalam band kiye...
Kaun abh aake mjhe...×2
Dega dilasa baba...
Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba....