Bhagi hai aisefauj

- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)


Bhaagi hai aise fauj ke muddkar nahin dekha
Thhehro abhi to Gaazi ka jauhar nahin dekha

Haebat ne jiski zer kiya fauj e sitam ko
Abbas sa duniya mein Ghazanfar nahin dekha

Mashkizaa chhid gayaa to hua sharmsaar wo
Gaiyyoor ne haram ko palatkar nahin dekha

Do mukhtalif husuul hai par hai mushabehat
Fat’he Furaat dekho jo Khaibar nahin dekha

Yaksaaniyat gulaam ki aaqa se kaise ho
Dono’n ko noke naize pe humsar nahin dekha

Akbar bhi ho, Shabbir bhi, ho Aun-o-Muhammad
Zainab ne phir kabhi wo bhara ghar nahin dekha

Beta tha ek, wo bhi tha Shabbir ka bismil
Taarikh ne Yazeed sa abtar nahin dekha

Munkir Naqeer poochhte ho kyon sawaal tum
Kya marsiya ‘Salim’ ke labpar nahin dekha