Yeh meri jaan ya hussain
- zile-e-raza (2016)
Ya hussain, ya hussain, ya hussain..(4)
Yabnaz zahra, ya hussain, hussain, hussain, hussain, hussain..(3)
yabnaz zahra..
ek roz jab mai majlis e shabbir mein gaya
farshe azaa pe pohcha to manzar ajeeb tha
the hazrat e hussain ke (aashiq hazaar haa)..(2)
har aashiq e hussain ke lab par thi ye sadaa
mai.. fana fil hussain..(2)
be saakhta ye mera lahu bolne laga..(2)
aye dasht e zulm o jaur ke mehmaan, ya hussain
{yeh meri jaan ya hussain
tujhpe qurbaan ya hussain}..(2)
1. Har khushi bhool ke ghum tera manaya maula
banke naushaah alam tera uthaya maula
maine is baat ko eemaan banaya maula..(2)
kuch nahi aaya agar ghar mein na aaya maula
saare armaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
2. Imteha teri mohabbat ka mohammad ne diya
ek pehlu mai hai tu ek mein unka beta
bola jibreel kisi ek ko lejaunga..(2)
has ke bole ye mohammad mera beta lejaa
mera zeeshan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
3. Zindagi kya hai tere ghum ke siwa kuch bhi nahi
gar tera zikr nahi zikr e khuda kuch bhi nahi
likhne walo ne fazael mein likha kuch bhi nahi..(2)
do jahan bhi tere matam ke bina kuch bhi nahi
deeno eemaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
4. Mit nahi payegi duniya se kahani teri
mashk o taboot o alam jhula nishani teri
baat dohraega duniya mein ye paani teri..(2)
ho nahi sakti kabhi yaad purani teri
ye dil o jaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
5. Deen ki raah mein kuch bhi na bachaya tune
naam e khaliq ke liye ghar ko lutaya tune
jo na nabiyo se hua karke dikhaya tune..(2)
sura e kahf jo naize pe sunaya tune
bola qur'aan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
6. Zindagi maangi hai bus teri azaa ki khatir
sar hatheli pe liye rehte hai har dum hazir
nasir e deene khuda tu hai ye tere nasir..(2)
matami tifl o jawa'n peer ye tere zakir
marsiya khwaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain
yeh meri jaan...
7. Jab ran mein qatl hogaye ansaar e shaahe dee'n
aur yawaro mein koi bhi baaqi raha nahi
ghabra gayi kuch aur bhi phir zainab e hazee'n
bacho ka haath thaame gai bhai ke qaree'n
boli ke ye tumhari behan ka qaraar hai..(2)
pyaare hussain tumpe ye bachhe nisaar hai
ya hussain ibn e ali..(4)
8. Yeh baat sunke rone lage shaah zaar zaar
bole ye tumne kya kaha amma ki yaadgaar
inki mase na bhigi na aayi abhi bahaar
aye behna ye hai haider o jafar ke gull o zaar
zainab tumhare laadle khoo'n mein nahayenge..(2)
ye laal humse pehle hi jannat mein jayenge
ya hussain ibn e ali..(4)
9. Jitne bhi the hussain ke yaawar hue shaheed
abbas o qasim o ali akbar hue shaheed
hadd hai ke teer se ali asghar hue shaheed
phir waqt e asr aagaya sarwar hue shaheed
roohe nabi ko fatima zehra ke chayn ko
maara hai teen roz ke pyaase hussain ko
ya hussain ibn e ali..(6)