Jab lahu shahido ka

- Meer Nazeer Baqri (2009)


Jab lahu shaheedo ka khaak mein mila hoga..(3)
phir sitam ke aangan mein kab diya jala hoga
Jab lahu shahido ka..

1. Aag dene walo jab sheh ka ghar jala hoga..(2)
unko haq mila hoga, tumko kya mila hoga
Jab lahu shahido ka..

2. Zehen mein bhatiji ke kitne aasre hoge..(2)
jab lahu lahu hokar, sher ghar chala hoga
Jab lahu shahido ka..

3. Jaane kitni baaho ke haar muntazar honge..(2)
chhod kar zamane ko, hurr jidhar chala hoga
Jab lahu shahido ka..

4. Kayenat kam hogi tere khoon se shabbir..(2)
sabr ki tarazu me, jab kabhi tula hoga
Jab lahu shahido ka..

5. Tere dil pa kya guzri tu hi kuch bata shabbir..(2)
jab tera jawa beta, khaak mein mila hoga
Jab lahu shahido ka..

6. Haye maa kaha hoga jane kaise asghar ne..(2)
be zabaa ki gardan par, teer jab chala hoga
Jab lahu shahido ka..

7. Dhoondhti phiri hogi saari raat asghar ko..(2)
dekh dekh jhoole ko, maa ka dil jala hoga
Jab lahu shahido ka..

8. Koi bhi nahi hoga jab nazeer duniya mein..(2)
phir bhi hashr tak yuhi, zikr e karbala hoga
Jab lahu shahido ka..