Koi na raha sannata hai

- Miscellaneous (2014)


Koi na raha sannata hai
Maqtal se yahi aati thi sada, koi na raha sannata hai
Pardes mein aakar kaun luta, koi na raha sannata hai

Allah ye kaisa manzar hai, jo laash bhi hai wo besar hai..(2)
behta hai yaha'n khoo'n ka darya, koi na raha sannata hai

Hai aaj fezaae'n bhi ghamgee'n, laasho'n ke sarhane koi nahi..(2)
chhayi hai falak par gham ki ghata, koi na raha sannata hai

Kuch khaime nazar aate hai jale, aur sukhe huwe toote kooze..(2)
kya qafela tha ye pyaaso ka, koi na raha sannata hai

Ye laash hai kis shehzade ki, kis tarha hua seena zakhmi..(2)
qismat ne sitam kis maa pe kiya, koi na raha sannata hai

Hai qadd mein barabar do laashe, doobe hai lahu ke darya mein..(2)
dono ko ajal ne loot liya, koi na raha sannata hai

Ye maara gaya hai kaun hasee'n, sehra hai kahin kangna hai kahin..(2)
kaisa ye sitam duniya ne kiya, koi na raha sannata hai

Ek sher pada hai sahil par, haibat ka abhi tak ye hai asar..(2)
sehmi sehmi chalti hai hawa, koi na raha sannata hai

Har simt udaasi chhayi hai, teero'n pe kise neend aayi hai..(2)
Be goro kafan laasha hai pada, koi na raha sannata hai

Maqtal se yahi aati thi sada, koi na raha sannata hai