Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain

- Shaheed Sibte Jafar (2012)


laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain
nowjawan ko safe awwal se utha laaye hussain
chaand ko shaam ke baadal se utha laaye hussain
jaa'n ba lab sher ko jungle se utha laaye hussain
di sada laashe pisar aan ke leja baano
chid gaya barchi se akbar ka kalaija baano
laash akbar ki....

dekhle aakhri deedar pisar marta hai
saamne aankhon ke ye noore nazar marta hai
ab koi dam mein tera rashke kamar marta hai
mu'h se bahar hai zabaa tashna jigar marta hai
dum hai seene may ruka zakhmo'n se khoon jaari hai
haaye baano tere ghar lutne ki taiyaari hai
laash akbar ki....

pohchi khaime may jo hazrat ke ye purdard sada
muztarab hogayi namoose rasoole do sara
kaha chala ke sakina ne ke haye haye bhaiyya
fizza daudi suwe dar phaik ke sar par se rida
peet-ti zainab e muztar nikal aayi bahar
baano ghabra ke khule sar nikal aayi bahar
shaah ke kaandhe pe dekha ali akbar ko nidhaal
haath phayla ke ye chillai ke haye haye mere laal
kya ghazab hogaya aye baadshahe nek khesaal
raas aaya na mere bache ko atharwa saal
tukde tegho'n se badan hogaya saara haye haye
kaun tha jisne mere sher ko mara haye haye

roke banu se ye farmane lage sarware deen
sar na peeto abhi zinda hai mera maah jabeen
saans aati hai pa har dam hai dame baaz paseen
kooch unka bhi hai aur hum bhi hai marne ke qaree'n..(2)
sab chute ab na raha koi hamara baano
is jawaa'n bete ke gham ne hame maara baano
laash akbar ki jo...