Mera akbar hai kahan

- Ahsan Manglori (2014)


Haye fizza.. Haye fizza
Mera akbar hai kahan mujhko batado fizza...
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

1. Kho gaya noor e nazar aankho'n se majboor hai maa
baap ka haal ho kya, ghum se yahan choor hai maa
aake lillah mujhe koi asaa do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

2. Mujhme ab baithne uthne ki bhi taqat na rahi
aisa lagta hai nigaaho'n me basaarat na rahi
noor mera meri aankho'n se mila do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

3. Kya karu kuch bhi sujhai nahi deta mujhko
hai kahan kaun dikhai nahi deta mujhko
theek se meri rida mujhko udha do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

4. Kuch dikhai nahi deta to ghutan hoti hai
jane kyu mere kaleje mein chubhan hoti hai
kamse kam iska sabab mujhko batado fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

5. Bolta kyu nahi khamoshi si kyu chhai hai
nawjawa chaand ko ye kaunsi neend aai hai
ho sake jo ali akbar ko jaga do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

6. Kisi khaime kisi mashkeeze mein pani bhi nahi
had hai aankho mein ab ashko ki rawani bhi nahi
haye mai kaise kahu zakhm dhula do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

7. Zakhm e tasweer e nabhi dekh nahi payegi
manzare dard phuphi dekh nahi payegi
khoon e dil akbar e mehroo ka chupa do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

8. Laye hai laash e pisar sibt e rasool us saqlayn
aisa lagta hai ke wo khaak pe baithe hai hussain
mere wali ko chatai pe bitha do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza

9. Lehja ehsan ka sada phoolta aur phalta rahe
gham ke kirtaas pe nayyar ka qalam chalta rahe
tum bhi dono ko mere saath dua do fizza
dare khaima pe mujhe chalke bitha do fizza