Karbala se shaam tak bhai bahan ki baat hai

- Miscellaneous (2014)


Qaide Zainab aur sare Shaahe Zaman Ki baat hai x2

Karbala se shaam tak bhai behan ki baat hai.

Ghar lute ya zibha mai hoo roke kehte the Hussain,
Bakshishe ummat ki manzil panjetan ki baat hai

Kyu na phoote gunche gunche se payambar ka jamaal,
Karbala walo ye zahra ke chaman ki baat hai

Jab chala arzak safo se maut ne aawaz di,
Aaj ran me Qasime Ibne Hasan ki baat hai

Paani lena hai mujhe mai hoo alamdare Hussain
Zor baazo me mere khaibar shikan ki baat hai

Bas alamdari hai mansab aur hai Abbas naam,
Tum me koi ho bahadur aaj ran ki baat hai

Pher kar nanhi zabaa hoton pe rulwa hi diya,
Karbala walo ye sheh ke kam sukhan ki baat hai

Kamyabi madhe maula me jo hai Salik naseeb
Ye naseeb apna hai apni anjuman ki baat hai.