Awaaz To Dey Akbar

- Mir Hasan Mir (2008)


Awaaz To Dey Akbar

(Aina Ali-Akbar) x4

(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x2

  1. Kariyal Jawaan Ki Laash Par, Kehta Rahaa Rokar Padar
  2. (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x2

  3. Girtaa Huwa Uthtaa Huwa, Haan Khogaya Hun Mai Magar, Gum Hogaya Nure Nazar
  4. (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  5. Tu Nawjawaan Hai Akbar, Aur Hai Zaaef Baba
  6. Tu Nawjawaan Hai Akbar

    Kaise Uthaaun Mayyat, Mujhko Toh Bataade Itna

    Jaana Hai ab Khayyaam Tak, Kaise Karun Mai Yeh Safar

    Kham Hogayi Mari Kamar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  7. Aayi Sadaa Jidhar Se, Mai us Taraf Barhunga
  8. Aayi Sadaa Jidhar Se

    Awaaz Sunte Sunte, Tujhe Ran Mai Dhundh hi lunga

    Tu Hai Jidhar Pyaare Mere, Dheere Se Yeh Kehte Huwe

    Baba Idhar, Baba Idhar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  9. Sughra Ke Naamwar ko, khat ka jawaab kya du(n)
  10. Sughra Ke Naamwar ko

    Jo Muntazir Hai Usko, Barchhi Ka Haal Sunadun

    Raste Se Ab Nazren Hata, Maara Gaya Bhaai Tera

    Kya Bhejdun Usko Khabar haaye

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  11. Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi
  12. Teri Sadaa Ko Sunkar

    Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi

    Sine Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se

    Ek baar himmat Jor Kar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  13. Barchhi Se Bas Kalejaa, Tera Nahi Chhidaa Hai
  14. Barchhi Se Bas Kalejaa

    Maqtal Mai Fatema Ne, Dil apnaa Thaam Liya Hai

    Bhaai Hassan Nana Nabi, Baba Ali Daadi Teri

    Mawjud Hai Sab Hi Idhar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  15. Kaise Bayaan Karun Mai, Woh Dardnaak Manzar
  16. Kaise Bayaan Karun Mai

    Sakhte Mai Thi Khudaai, Rota Tha Saara Lashkar

    Jab Fatema Ke Laal ne, Haathon Pe Lekar Khaak Se

    Rakh Kar Kahaan Zaanun Pe Sar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  17. Laashe Ke Dono Jaanib, Baithi Hai Maaen Dono
  18. Laashe Ke Dono Jaanib

    Sine Pe Bosen Dekar, Leti Hai Malaaen Dono

    Zainab Idhar Laila Idhar, Chume Tera Zakhmi Jigar

    Inse Toh Koi Baat Kar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  19. Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi
  20. Teri Sadaa Ko Sunkar

    Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi

    Sine Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se

    Ek baar himmat Jor kar

    (Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3

  21. Akbar Janaabe Akbar, Khaamosh Ho Gaye The

Akbar "Janaabe Akbar"

Shabbir Sar Jhukaaye, Laashe Ke Paas Khade The

Zainab Kabhi Laila Kabhi, Behnne Kabhi Kabhi Naamwar

Kehta Rahaa Yeh Saara Ghar

(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x5