Awaaz do akbar

- Rehan (2013)


Awaaz do akbar..(6)

Aawaaz do ay laal dikhai nahi deta
akbar mujhe ab kuch bhi sujhai nahi deta
tum mujhko sadaa dete raho ay mere dilbarr...

2. Mai jab bhi tumhe dekhta milta tha sahara
is zulm ki duniya me koi to hai hamara
ab tum bhi juda hogaye ham shakle payambarr...

3. Har maa ki tamanna hai ke shadi ho pisar ki
laau mai dulhan chaand si ronak badhe ghar ki
layla ko khabar gham ki sunaunga mai kyu karr..

4. Sughra hai madine me yahi aas lagaye
bhai mera karbal se watan laut ke aaye
beta teri furqat me guzar jaegi khwahar..

5. Tum jaate ho miljaega har ghamse efaaka
reh jaega ek baap museebat me akela
ruk jaye ajal dekhlu bete ko mai jee bharr..

6. Majboor tha jo de na saka tujhko mai pani
ab mujhko rulaegi teri tashna dahani
se'raab karenge tujhe ab saqiye kausarr..

7. Allah kisi baap ko ye ghum na dikhaye
tanha wo jawaa'n laal ki mayyat ko uthaye
ab dekho meri jung ko ham shakle payambarr...

8. Aao ki koi naasir e shabbir nahi hai
abbbas nahi asghar e besheer nahi hai
mazloom bulata hai kaha ho mere yaawarr..

9. Jaata hu'n mai maqtal ko mujhe khod pinha do
shano ko pakadlo mujhe ghode pe bitha do
is baap ko dete the sahara tumhe aksarr..

10. Jis waqt kaha nauha 'zameer e razawi' ne
di haath uthakar ye dua bint e ali ne
aameen kaho isse ho khushnood payambarr...

 Awaaz do akbar..(4)