Akbar mere akbar

- Syed Mohd Taqi (2016)


Akbar mere Akbar (4)

Nauha tha har ek lamha yeh madar ke labo par..

Akbar...

Kis tarha se ji paayegi (2)
Bin tere yeh madar..

Akbar..

1) Aye chand mere noor e nazar raaj dulaare,
Tum chod ke madar ko gaye kiske sahare,
Furqat hai teri maut (2)
hamare liye dilbar...

2) kya usko bataungi gai jab ke madina
Bechain madine me bohot rehti hai sughra,
Baithi hai waha palke (2)
Bichaaye teri khuwahar..

3) zainab ka zara haal toh socho mere bete,
Beto se kahi badke jisse pala hai jisne,
Tadpegi tere ghum me (2)
Bohot zainab-e-muztar..

4) samjho yeh meri zindagi be-aas hui hai,
Yun mujhko laga qalb pe mere vo lagi hai,
Hai vo jo sina tooti (2)
Tere sine ke andar..

5) Ek lamha jafao me kami hoti nahi hai
Had yeh hai mere sir pe rida baqi nahi hai
Warna mai kafan tera (2)
Banadeti vo chadar..

6) Tumse jo mere ghar me ujala tha hamesha,
Mamta ka meri tujhse hawala tha hamesha,
Humshakle nabi laal (2)
Mere yusufe sarwar...

7) Takleef yeh dhadkan meri pochaane lagi hai,
Har saas meri mujh pe sitam dhaane lagi hai,
Chalte hai musalsal (2)
yeh mere qalb pe khanjar..

8) Salmaan o Taqi ghum yeh baya ho nahi sakta,
Akbar ke liye madare akbar ka vo nauha
Khud rote sunke (2)
Jise naize pe akbar...

Akbar mere Akbar...