Dua karna Ali Akbar

- Shahid Baltistani (2016)


Dua karna ali akbar -2
Safar me maa guzar jaaye, kabhi bazaar na aye, dua karna ali akbar - 2

Mohammad ki nawasi per koi patthar na barsaye.... Dua karna ali akbar

1. Teri phuppiyon ke badle me muje sab maarle patthar
rukaiya zainabo kulsum ki ban jaau mai chaadar
Ali ki betiyo ko maa bachakar shaam se laaye

2. haaye tamache maarkar zaalim badi nafrat se hasta hai
Tumhare baap ka badla sakina se wo leta hai
behen baba ke qaatil se tamache aur na khaaye

3. Dua karta hai marne ki lahu aankho se jaari hai
Wahi akbar hai ab mera wahi ab mera gaazi hai
tere beemaar bhai ko meri bhi umr lag jaaye

4. Kaleje par ali akbar lagegi phir tere barchi
waha jaana hai beparda jaha shaadi thi zainab ki
khule sar binte zehra ko koi pehchaan na paaye

5. Tere seene se jo nikla mere dil me hai wo neza
meri saase to chalti hai magar mai ab nahi zinda
zaeefa maa ko bete ki khuda mayyat na dikhlaaye

6. Agar mastur mar jaaye andhera hone dete hai
tere ghar ki riwayat hai janaze shab me uthte hai
haram jab berida guzre  andhera shaam me chaaye

7. Shahido ki duaon ko khuda bhi radd nahi karta
takallum maa ye kehti thi bulale pass aye beta
mahe shaban ka mujko nazar ab chaand na aaye