Mere mazloom hussain

- zile-e-raza (2016)


Alqama ke sahil par, karbala ke maqtal mein..(2)
uff teri tashna dahani mere mazloom husain..(2)

Paya ek qatra na paani, mere mazloom husain..(2)
uff teri tashna dahani mere mazloom husain..(2)

1. Tune jo sabr kiya kisse hota wo bhala
mere mazloom husain..(2)
Tune jo sabr kiya kisse hota wo bhala
Nahi tera koi saani, mere mazloom husain..(2)

2. Ummat e jadd ke liye, dee'n ki nusrat ke liye
mere mazloom husain..(2)
Ummat e jadd ke liye, dee'n ki nusrat ke liye
dedi akbar ki jawani, mere mazloom husain..(2)

3. Shiddat e pyaas se tha, tera sookha wo gala
mere mazloom husain..(2)
Shiddat e pyaas se tha, tera sookha wo gala
uspe khanjar ki rawani, mere mazloom husain..(2)

4. Halq sookha tha tera, de rahi thi ye sadaa
mere mazloom husain..(2)
Halq sookha tha tera, de rahi thi ye sadaa
rukke khanjar ki rawani, mere mazloom husain..(2)

5. Chhid gaya soookha gala, pyaasa duniya se gaya
mere mazloom husain..(2)
Chhid gaya soookha gala, pyaasa duniya se gaya
paaya asghar ne na paani, mere mazloom husain..(2)

6. Dedi usko bhi rida, haaye marne ke liye
mere mazloom husain..(2)
Dedi usko bhi rida, haaye marne ke liye
jo tha bhai ki nishani, mere mazloom husain..(2)

7. Dost to dost tere, rodiye dushman  bhi
mere mazloom husain..(2)
Dost to dost tere, rodiye dushman  bhi
teri sun sun ke kahani, mere mazloom husain..(2)

8. Nange sar hai zainab, chhin gayi haaye ghazab
mere mazloom husain..(2)
Nange sar hai zainab, chhin gayi haaye ghazab
sar se chadar bhi purani, mere mazloom husain..(2)

9. Khoob ae fikr e zameer, aaj nauha ye likha
mere mazloom husain..(2)
Khoob ae fikr e zameer, aaj nauha ye likha
badhi ashko ki rawani, mere mazloom husain..(2)