Musalle pa maine

- Miscellaneous (2014)


Musalle pa maine ali ka qasida juhi gun gunaya
savere savere...
Khuda ki qasam phir, ibadat ka mujhko bada lutf aaya
savere savere...

1. Nikal kar andhero ke narghe se HURR jab
dare sheh pe aaya, savere savere
toh zehra ke bete ne ek pal me uska, muqaddar jagaya
savere savere...

2. Malaek ne jis waqt madho sana ki,
fizao'n me goonji sadaa, ya ali ki
parindo me bhi apni boli me naara, ali ka lagaya
savere savere...

3. Hai marzi-e-hasnain marzi khuda ki
abhi sayyeda ki labo'n par dua thi
lebaas e jina leke rizwan e jannat ne, darr khat khataya
savere savere...

4. Mehek baaghe ismat ki har simt phayli
laga yu ke aamad hui sayyeda ki
juhi maine ghar me hadees e kisa ke, diye ko jalaya
savere savere...

5. Wo kasrat se warzish ka aadi tha mulla
ke bachpan se pakka fasadi tha mulla, jehadi tha mulla
magar jab azaa'n me suna naam e haider, bada tilmilaya
savere savere...

6. Mai naade ali padhke soya tha shab ko
pasand is qadar aayi ye baat rabb ko
'sohail' ek farishta shifa'at ki meri, sanad leke aaya
savere savere...