Ali imam e man asto manam ghulam e ali

- Ali Safdar (2014)


Ali ali ali ali ali..(4)
Hai kayenaat me..(2)
tauheed ki jo shamma jali
Usi ke noor ka..(2)
jalwa hai mustafa o ali
Ali imam e man asto manam ghulam e ali..(2)

1. Karam khuda ka hua hogaye wo shere khuda
bahaduri me koi hai kahan ali jaisa..(2)
hasan husain ke baba..(2)
wo janesaar e nabi

2. Mila jo hukm e ilahi buto'n ko tha dhaya
khuda ne taaje wilayat inhi ko pehnaya..(2)
ali ka ghar hai jahan..(2)
aale mustafa hai pali

3. Hua ishara e haider gira dare khaibar
shikare teghe ali the jo marhabo antar..(2)
misaale balk wo..(2)
maidaa'n me zulfiqar chali

4. Ali wali hai mujahid hai shere yazdaa'n hai
huzoor ne ye kaha tha wo kulle eemaa'n hai..(2)
haq unke saath hamesha..(2)
aur uske saath ali

5. Kisi ne martaba e buturaab kab jaana
faqat khuda o nabi ne ali ko pehchana..(2)
jo puchna hai to pucho..(2)
inhi se kya hai ali

6. Na dusra hai ali aur na koi aisa jari
na aasmaan ne dekha zamee pe aisa sakhi..(2)
na khali haath gaya..(2)
koi jiske darr se kabhi

7. Khitaab ho ke bayaa hai wo marefat ka nisha
ali ki danish o hikmat hai faislo se ayaa..(2)
hai lazawal riwayat..(2)
jaha'n me adl e ali

8. Agar kahi koi banda ho mushkilo me ghira
madad ko aate hai maula ali ba hukm e khuda..(2)
abhi jo koi pukare..(2)
madad ko aaye abhi

9. Khuda hai maula to 'safdar' hai mustafa maula
nabi ne khum me kaha tha ke hai ali maula..(2)
nabi hai jiske bhi maula..(2)
kamaal usike ali
Ali imam e man asto manam ghulam e ali..(2)
Ali ali ali ali ali..(2)