Bekaso ke madadgar mola ali

- Miscellaneous (2014)


Bekaso'n k madadgar MOLA ALI,
Juz Tere koi apna sahara nahi,
Tera dar chod kar jayen akhir kahan,
Ghair ka dar jabee'n ko gawara nahi.

1) Jo ALI ka nahi wo NABI ka nahi,
Jo NABI ka nahi wo KHUDA ka nahi,
Jo KHUDA ka nahi wo kisi ka nahi,
Kya KHUM me NABI ne pukara nahi.

2) Aaye KAABE me jis dum ALI k qadam,
Moonh k bal gir pade but ye kehte hue,
Aayie aayie janasheen e NABI,
Ye tumhara hi Ghar hai hamara nahi.

3) Wo to kamzarf hain jo tumhe chod den,
Warna MOLA ALI Teri tazeem ko,
Jo palat kar na aaye wo sooraj nahi,
Or Jo na chaukhat ko chume wo Tara nahi.

4) Bheed SE haajiyo'n KI ye aayi sada,
KHUM k maida'n me ye NABI ne kaha,
Ye ALI hai wasi khoob pehchan lo,
Jo ALI ka nahi wo hamara nahi.

5) Pehle tareekh khaibar KI padh lijiye,
Phir koi akhiri faisla dijiye,
Jung E khaibar ho khandaq ho ya badr O honain,
Konsi Jung me kufr hara nahi.

6) Kyon bulandi pa nazaa hai tu is qadar,
Mai ghulam e ALI hun ghulam e ALI,
Ay falak tu to kya Teri mehfil me bhi,
Meri qismat sa koi sitara nahi.

7) Jane khandaq me kaise musalman the,
Tana e kufr chup chap sunte rahe,
Sabke pehlu me talwaren mojood thi,
Amr ka sar kisi ne utara nahi