Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Ha

- Mir Hasan Mir (2010)


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(4)

Kaha Roke Baqir Ne Abid Se Baba
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(2)

Hai Baba Yahaan Par Baraa Sa Andhera
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai

Kahaa Roke Baqir Ne Aabid Se Baba
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai,

Kahaa Roke Baqir Ne Aabid Se Baba ...

1. Haan Dekha Hai Maine Safar Mai Yeh Manzar
Jahaan Paani Hota Tha Is Ko Mayassar
Toh Khud Apne Hisse Ka Paani Hamesha
Giraati Thi Yeh Aap Ki Bediyon Par
Mayassar Hai Ab Hamko Paani Toh Pyaasa
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai


2. Jhukaaye Huwe Apna Sar Rorahi Hai
Rihaai Ki Sunkar Khabar Rorahi Hai
Tadapti Hai Dadi Rubab Aise Baba
Ke Amma Bhi Thaame Jigar Rorahi Hai
Batayenge Kya Gar Unhone Ye Puchha
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai

3. Mujhe Yaad Hai Khud Yeh Kehte The Daada
Madina Hai Iss Ke Sabab Se Madina
Ke Meri Nazar Mai Woh Ghar Ghar Nahi Hai
Nazar Jis Mai Aaye Na Mujhko Sakina
Na Iss Ke Siwa Phir Basega Madina
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai

4. Madina Ho Ya Shaam Karbobala Ho
Ke Bazaaro Darbaar Ka Marhalaa Ho
Sadaa Har Sitam Ham Ne Jhelaa Hai Milkar
Toh Phir Kyun Na Yeh Mere Dil Ki Sadaa Ho
Mujhe Bhi Yahin Chhod jana Ay Baba
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai

5. Mujhe Aaj Yaad Aaraha Hai Woh Lamha
Giri Thi Jo Naaqe Se Ik Din Sakina
Lage Aap Ki Pusht Par Taaziyaane
Magar Aapne Qaafila Rok-ke Rakhaa
Rukaale Yuhin Qaafila Aaj Baba
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai

6. Achaanak Nigaahe Padi Jo Lahad Par
Sawaalaat Phir Lab Pe Aaye Na Akbar
Sakina Ki Turbat Ko Sine Lagaaye
Padar Se Yeh Kehne Lage Roke Baqir
Samajh Mai Meri Ab Hai Baba Yeh Aaya
Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(3)