Jaao baba jaldi laut aana

- Safdar Abbas (2004)


Rakh ke sar seena e sarwar pe sakina boli
chhod kar ammu gaye aur gaye sab bhai
ab na mera sabr aazmana
jao baba jaldi laut aana..(4)

1. Baad aapke hume ye ashkiya'n sataenge
mai kise bulaungi gauhar jo cheene jaenge
ye laee'n jalaenge hamare khaimagaah bhi
aap agar na aae to ye mujhpe zulm dhaenge
seh nahi sakungi taziyana

2. Janti hu mai ke sakht aapka hai imtehaa'n
aap be watan, ghareeb tashna lab hai babajaa'n
kar rahi hu mai dua khuda ki baargaah mein
jaa rahe hai aap jo sitamgaro ke darmiyaa'n
hogaya hai sang dil zamana

3. Keh gaye the ammu jaan ran se laut aaenge
pani mere waaste wo alqama se laenge
itne zakhm sehke dil pe kis tarha jiyungi mai
tanha chhod kar mujhe ab aap ran ko jaenge
kis qadar kathin hai ghum chupana

4. Der hogayi jo aapko to kya karungi mai
aapke baghair raat ko na so sakungi mai
aap jo na aaye aur ban me raat hogayi
beqaraar aap aur besukoo rahungi mai
jaake ran me na mujhe bhulana

5. Hai ajeeb waqt kaise aapko juda karu
kaise aapko mai baba jaan alwida kahu
marziye khuda ke saamne zubaan band hai
dil magar ye keh raha hai aapko mai rok lu
hai naseeb me ye ghum uthana

6. zalimo ko is qadar hai dushmani kyu aapse
band kardiye hai karbala ke saare raaste
pehre itne sakht kar diye labe furaat par
fauje ashqiya khadi hai alqama ke saamne
pani mere waaste na laana

7. Jaanti hu tashnagi se khushk hai mera gala
garm hai hawa sulag rahi hai rege karbala
mere jaanesaar saare ran me jaake sogaye
mera dasht me hai kaun sirf aapke siwa
meri tashnagi ko bhool jaana

8. Kaise aapki madad karu mujhe bataiye
baba aap tanha fauje shaam me na jaiye
subho se gaya jo ran me laut kar na aa saka
aap laut aaenge mujhe yaqee'n dilaiye
ya mujhe bhi ran me tum bulaana

9. De rahi hu aapko khuda ki mai panaah mein
aanch aae koi aap par na qatl gaah mein
haath jod kar ye arz kar rahi hu babajaa'n
ran me aap ho jahan rahe meri nigaah mein
door na meri nazar se jaana

10. Safdar e hazee'n ye bayn sunke shahe behrobar
bole waqt e imtehaa'n hai shaahzadi sabr kar
ran ko jaa raha hai tashna lab ghareeb bekhata
ae sakina laut kar na aaega tera padar
ab na kehke tu mujhe rulaana

jaao baba jaldi laut aana..(8)