Abu talib ka beta

- Miscellaneous (2014)


Abu talib ka beta..(3)
wasiyat ka meenara.. abu talib ka beta
ghadeer e khum ka dhula..abu talib ka beta

Ali murdo'n ko jhilaye ..(2)
ali suraj paltaye
karishme dekh ke jiske, nuseri chakkar khaye
karishme dekh ke jiske, zamana dhoka khaye
nuseri samajh na paye
Khuda hai ya hai Banda.. abu talib ka beta

1. Nasab kuch aisa paya, nabi ne beti dedi
shabe hijrat jo soya, KHUDA ne marzi dedi
sharaf ka arsh e maula.. abu talib ka beta
niraali shaan wala.. abu talib ka beta

2. Jo inse bughz rakhega badi mushkil me padega
Yaha bhi haath malega, wahan bhi haath malega
hai bakhsish ka darwaza.. abu talib ka beta

3. Use kehte ho kafir, payambar ka jo chacha hai
ae farzi baap ke beto'n, wo sab kuch dekh raha hai
hai ab bhi ghaib me baitha.. abu talib ka beta

4. Mera eemaan ali hai, mera qur'an ali hai
mera eemaan ali hai, meri pehchaan ali hai
zamane walo'n sunlo, mera sultaan ali hai
shehenshahi ka idaara.. abu talib ka beta

5. Hui jab inki wiladat, buto'n ki aai shahmat
muqaddar deen ka jaaga, mili kaabe ko taharat
wiqare khana e kaaba.. abu talib ka beta

6. Mila jab maale ghaneemat, ikattha hogai ummat
magar jab deene nabi ko, padi hai khoo'n ki zarurat
nikalkar saamne aaya.. abu talib ka beta

7. Wo nikla khaima e haqq se, bani hashim ka jiyala
batati hai ye jalalat, bitha do kitna hi pehra
utha le jaayega dariya.. abu talib ka beta

8. Jab ek halka sa tabassum, bana shamsheer e jalalat
to phir fayyaz na jaane, wo hoti kaisi qayamat
agar khulkar has deta.. abu talib ka beta