Ghadeer-e-khum ke mimbar se

- Miscellaneous (2014)

Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(4)
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula

1. Kahe lakho ke lashkar se khudai hukm yu badhkar
uthae haath apne jaanashee'n ka naam e rabb lekar
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula
Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(2)

2. Nabi ne jaan ke khum me yahi alfaaz dohraye
ali ki shakhsiyat zamane bhar ko aise dikhlaye
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula
Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(2)

3. Zameene aasmane mukhtasar aalam ke zarre ne
sahifo ne nabiyyo ne kiya tasleem kaabe ne
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula
Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(2)

4. Utha ek mauj khushrawani lehro me samandar me
falak ne kehkashaao ne bhi sunli lafze athar ne
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula
Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(2)

5. Agar maano agar samjho yahi sabqat hai hardam ki
inhi lafzo me poshida baqaao rabbe aadam ki
Mankunto maula ..(2) fahaaza aliyun maula
Ghadeer-e-khum ke mimbar se ye awaaz e rasulallah..(2)

6. Rahe jo aaj saana paerawe har hukme payghambar
siwae murtaza dekhe na koi dusra rehbar