Kya bataein ke zainab ki kya shaan hai

- Miscellaneous (2014)


Itrat e nabi, Jaan e murtaza, khwahar e husain, bint e fatima
Kya bataein ke zainab ki kya shaan hai..(2)
Qafila e husaini ki ye aan hai
Kya bataein..

1. Seerat e ambiya, mustafa se mili
aur paaya wirasat me khulq e ali
hubahu apni maa ke chalan me dhali
saaye me ye husain o hasan ke pali
shaahkaar e haya, rashke niswaan hai

2. Guzre nana nabi, sabr karti rahi
dekha zakhm e ali, sabr karti rahi
maa ki mayyat uthi, sabr karti rahi
aur hasan se chhuti, sabr karti rahi
aaj darpesh karbal ka maidan hai

3. Qatl abbas ki dhoom bhooli nahi
zakhm e akbar wo mazloom bhooli nahi
nanhe asghar ka hulqoom bhooli nahi
apne bache wo masoom bhooli nahi
chehra utra hua dil pareshan hai

4. Jitna dukh de sake zalimo ne diya
chhalni chhalni dil e sayyada hogaya
saamne uske bhai ko zabha kiya
sajde me shimr ne sar juda kar kiya
aaj duniya hui uski weeran hai

5. Pucho zainab se jab maa ki kheti luti
pucho zainab se jab karbala se chali
pucho zainab se jab sar se chadar chini
pucho zainab se jab rassiyo me bandhi
dekha jisne jafao ka toofan hai

Kya bataein ke zainab ki kya shaan hai..(2)
Qafila e husaini ki ye aan hai
Kya bataein..