Dekha hai ek khwab

- Miscellaneous (2014)


Khwab suno, suno ye khwab suno..(2)
khwab suno..
suno ye khwab suno..(4)

Dekha ek khwab ke mai karbala me hu
jannat se bhi hasee'n hai jo aisi fiza me hu
daste qaza se door hu hadde baqa me hu
shamil hu awliya me safe ambiya me hu
ek noor jalwabaar hai har ek jabeen par
lagta hai aagaya hai khuda khud zameen par

1. Ek simt ambiya ki hai saff, ek taraf husain
ek simt har kamal o sharaf, ek taraf husain
ek simt har gada e najaf, ek taraf husain
dono jahan ek taraf, ek taraf husain
kya hai husain raaz ye kholne laga
khamosh thi khudai khuda bolne laga

2. Aati thi dum ba dum yahi awaaze qirdigaar
saara jahaan hai meri khilqat ka aitbaar
saare nabi tamaam wali hai mera wiqaar
lekin mera husain hai tum sab me shaahkaar
yu martaba samajhlo shahe mashraqain ka
tum sab mere ho aur mai hu khud husain ka

3. Adam se phir ye bola khuda ab ye baat sun
meri zubaan se zara apni sifaat sun
roze azal hui thi jo waardaat sun
masjood nooriyo ki hui teri zaat sun
adam ye inteha hai teri zebo zain ki
jannat me tu bhi hoga re'aaya husain ki

4. Adam ka zikr aaya to iblees aagaya
adam ki simt dekhke wo muskura diya
phir bola mai laee hu ke sajda nahi kiya
jannat me tujhse maine hi karwai thi khata
karta khuda jo pesh shahe mashreqain ko
hota jo hukm karta mai sajda husain ko

5. Phir ye sada e rabbe ta'ala sunai di
ae nooh maine tujhko bado'n me badai di
toofa'n me girke tune jo meri duhai di
mere karam ne tujhko najaf tak rasai di
ae nooh tu naji hai nabuwat ki zain hai
teri nijaat ka bhi safeena husain hai

6. Phir bola rab ke ae mere bande mere khaleel
qurbaani e pisar teri azmat ki hai daleel
tu hai nabi, imaam bhi hai ae mere wakeel
tu rehguzare ishq hai shabbir sang e meel
me'maar khana kaaba hai ye teri zain hai
lekin ye dekh kaabe ka kaaba husain hai

7. Azmat teri ke tune banaya hai mera ghar
tujh par hui hai aatish e namrood be asar
is baat ki to saare zamane ko hai khabar
chalte hai sheh ke matami har saal aag par
har saal jalti aag ki fitrat badal gaye
tujhse to shehke matami aage nikal gaye

8. Phir rabbe kirdegaar ne isa se yu kaha
paida baghair baap ke maine tujhe kiya
mujhko hai sab khabar teri azmat ki inteha
paidaishi mareezo ko deta hai tu shifa
tu hai maseeh saare mareezo'n ka chayn hai
lekin malaeka ka maseeha husain hai

9. Phir maine dekha phayl gayi arsh tak ziya
swalle ala ki goonj uthi har taraf sada
awaaz aayi aate hai sardaar e ambiya
sardaar e ambiya se mukhatib hua khuda
tu hai mera habib mere dil ka chayn hai
tu fakhr kar ke tera hawala husain hai

10.  Tu hai mera habib ye tera habib hai
tu khushnaseeb hai ke ye tera naseeb hai
kar ghaur ye husain ki azmat ajeeb hai
saara jahan mareez hai aur ye tabeeb hai
tujhpar salaam ho teri dastaar hai husain
teri qasam ke mera khareedar hai husain

11. Phir maine dekha moosa khade hai basad weqaar
mehwe kalaam yu hua moosa se kirdegaar
tu hai mera kaleem ye tera hai iftekhaar
tha toor par bhi tu mere jalwe se hamkenaar
kya hamsari karega shahe mashreqain ki
tu seh saka na ek tajalli husain ki

12.  Tu sahibe asa sahi shabbir to nahi
fir'aun ki qaza sahi shabbir to nahi
tu shane ambiya sahi shabbir to nahi
tu mera hamnawa sahi shabbir to nahi
tu mere husne zaat ka akkas to nahi
haroon tera bhai hai abbas to nahi

13. Akhir me aai noor ali rab ki ye sada
ye baat sunlo ghaur se tum saare ambiya
hai sajda e husain hi tauheed ki baqa
hai zaamin e baqa e shariat ye karbala
qausain par na arshe ula me milunga mai
ta hashr ab to karbobala me milunga mai