Ali ali haye ali

- Miscellaneous (2014)


Allahu akbar x4
Guldasta e azan se moazzin ne di sada
Qaim hui namaz uthe shahe lafata
Baad e ruku sajda e khaliq me sar rakha
Sajde se sar uthate hi haye gazab hua
Ayi nida e ghaib se haider hue shaheed
Ghar me khuda ke Saqiye Kausar hue shaheed

Ali Ali haye Ali aye mere maula .....x2
Sajde me sar zakhmi hua Sher e Khuda ka
(Ali Ali haye Ali aye mere maula
Sajde me sar zakhmi hua Sher e Khuda ka) x2

Aalam me numaya hain jo aasar e Qayamat
Sadat me kohram macha maare gaye hazrat
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Aalam me numaya.....
Sadat me kohram....
Mabud ke ghar me hui bande ki shahadat
Sar sajda e Khaliq me kkata Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali ......
Sajde me sar .....)x2

Hain Zainab o Kulsum ke chehron pa udasi
Abbas ke rukhsar pa hain dard e yateemi
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Zainab o Kulsum ke....
Abbas ke rukhsar....
Hasnain ki ankho se na kyu ashk ho jari
Aalam me hain taboot utha Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye ....
Sajde me sar zakhmi.....) x2

Tharrane lage dard se masjid ke dar o baam
Ek pal bhi lehad me nahi Hazrat ko hain araam
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Tharrane lage......
Ek pal bhi....
Yeh dekhke kehkhana e Zehra me hain kohram
Ghar se jo janaza hain chala Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali...
Sajde me sar zakhmi.....) X2

Teghe bine Muljim jo chali fark e Ali par
Is zulm se aalam me bapa ho gaya Mehshar
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Teghe bine Muljim jo....
Is zulm se ......
Markab me larazne lagi khud ruh e payambar
Jibreel ne bhi nauha padha Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi......) x2

Kufe me khabar pheli Haidar hue zakhmi
Mehrab me damad e payambar hue zakhmi
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Kufe me khabar.....
Mehrab me.....
Girya hain falak Saqiye Kausar hue zakhmi
Matam hain zamane me bapa Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali ....
Sajde me sar zakhmi......) x2

Kufe ke yateemon ke labon par hain yeh faryad
Ab kon ghareebon ki karega bhala imdad
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Kufe ke yateemon....
Ab kon ghareebon.....
Koi bhi sahara nahi hum ho gaye barbaad
Ghar sog me hain dub gaya Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi....) x2

Ab Aal e Mohammad ka nahi zabt ka yaara
Bikhra hua masjid me hain Qur'an ka para
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Ab Aal e Mohammad....
Bikhra hua masjid .....
Qur'an ke maathe se rawa khoon ka hain dhaara
Shamsheer se sar zakhmi hua Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi....) x2

Teghe bine Muljim se hain zakhmi sar e anwar
Aur khoon se namazi ke masalla bhi hua tar
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Teghe bine Muljim...
Aur khoon se....
Aate hain nazar khoon me dube huwe Haidar
Masjid me lahu behta raha Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi....) x2

Maula ka mere kya ho bayaan haal e shahadat
Is haal me bhi karte hain qaatil kI ziyafat
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Maula ka mere ....
Is haal me bhi...
Allah re yeh jazba e issar o murawwad
Hamsar koi kya hoga bhala Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali...
Sajde me sar zakhmi....) x2

Sar peetke rote hain jo Zehra ke dulare
Aakas pe larza hain chamakte hain taare
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Sar peetke rote....
Aakas pe larza ....
Yu Haidar e Karrar hue khuld sidhare
Muh takti rahi aal e iba Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi.....) x2

Mazhar yeh rakam nauha gam karta rahega.
Aur usko Raza shaam o sehar padhta rahega
Ek Naara Haidari
Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri
Mazhar yeh rakam....
Aur usko Raza shaam ...
Har daur me apna yeh alam uncha rahega
Saya hain saron pe jo sada Sher e Khuda ka

(Ali Ali haye Ali....
Sajde me sar zakhmi....) x3