Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka
- Nadeem Sarwar (2013)
Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka
Hota hai azaano me charcha ali akbar ka
Us maa ka muqaddar bhi kya khoob muqaddar hai
Ke jis maa ko bhi mil jae sadqa ali akbar ka
Ae hurr teri qismat ne, kya chamka sitara hai
Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka
Gar izne wigha milta, to kuffar ka ye lashkar
Abbas ka aadha tha, aadha ali akbar ka