Na puchiye ke kya husain hai

- Ustad pyare khan (2010)


Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai Khuda ke deen ka nakhuda, Her ibtida ki ibtida
Karam ki intiha Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Karey joi koi humsari, kisi ki kya majaal hai
Jahan mein her lehaz se, Hussain bey misaal hai
Yeh hochuka hai faisla na koi doosra khuda na koi doosra Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain ha

Naseer e sham per nigah, ki to Hur bana diya
jo mer rahey they un ko zindigi ka gur sikha diya
thi her taraf jahan sada khula yeh raaz bhi wahan
hayat baantta Hussain hai

Kero gey ker mukhalifat, gham e Hussain ki yahan
woh hashr hoga hashr mein, keh Al Hafeez o Al Amaan
Jahan bhi chupney jao gay, Kaheen bhi chup na pao gey,
keh her jagha mera Hussain hai
Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai

Hai jis ki fikr Karbala, Hussain woh doimagh hai
yeh panjetan ki anjuman, ka paanchwan chiraagh hai
Hasan ka pehla humsafar Ali ka doosra pisar
Imam teesra Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Woh jis ne baandh ker hawa, jala diya bujha diya
zameen ko jis ne arsh se, buland martaba diya
woh jisne kayenaat ka nizaam hi badal diya
ek aisa maojaza Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Kisi ko hosla diya, kisi ko baaksh di seher
diye kisi ko baal o per, kisi ko de diye piser
pukaari banda perwari, lughat mein ehl e ishq ki,
madad ka tarjumaan Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Shaheed e karbala ka gham, jisey bhi nagawaar hai
Woh bad-amal hai bad-nasab, usi pe beyshumaar hai
Arey o dushman e aza, tu mer zara, lehed mein ja,
pata chaley ga kya Hussain hai
Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai