Ilahi almadad hai rasta dushwar pani me

- Saleem balrampuri (2013)


Ilahi Al-Madad hai Rasta Dushwar
paani me
Qadam Rakhta nahi hai Fikr ka
Rahwaar paani me
Hai aisi baher jis per ashk bahre-e-
bekaran to hai
Radeef aisi ke doobe Qafiya Har baar
Panai me
Jahan Har Misra aata ho libes-e-
tashnagi pahne
wahan mumkin nahi sarebiye Ash'aar
paani me
Parakhna aag me sone ka sunte aaye
the lekin
Ali(a.s) ke laal Ka Parkha gaya kirdaar
paani me
Muqabil sher ke aate jo pahredar
Paani me
To hote ek ke do, aur do ke Char
paani me
Pighal jata hai pathar tashnagi ki aag
me pad kar
bikhar jaati hai jaise Ret ki deewar
pani me
Suboot-e-qabzaye saqqa hai dariya
per abhi Rauza
Batata hai utar kar saya-e-deewar
paani me