Mujraee khalq mein
- Asad amanat ali khan (2010)
Mujraee khalq mein, in aankhon ne, kya kya dekhaaaa
Par kahin sibte payambar sa na, aaqaa dekhaaaa
Mujraee khalq mein.
1. Maine dekha alaame shah ko, aalooda e khoon ..(2)
Main ne nezay pe sar-e dilbar-e-Zehra dekhaaa
Mujraee khalq mein.
2. Maine dekha Ali Asghar ka galaa khoon mein tarrr ..(2)
Maine Abbas ko, reti pe, tadapta dekhaaa
Mujraee khalq mein,
3. Ek gathdi shahe deen pusht pe laaye us mein ..(2)
Main ne tukde huway, Qasim ka saraapa dekhaaa
Mujraee khalq mein
4. Gir paday sibt-e-nabi, thaam kay haathon say jigar ..(2)
Ali Akbar ko jo rayti pay tadapta dekha
Mujraee khalq mein
5. Bay-rida khalq nay us bibi kay sar ko dekha ..(2)
Jiski maadar ka, kisi nay na janaaza dekha
Mujraee khalq mein
6. Haaye kyon ho na gayee, saur ke, in aankhon ne
qaid khaanay mein Sakina ka, janaaza dekhaaa
Mujraee khalq mein
7. Boli ye Zainab-e-muztar, kay khooda khair karay ..(2)
Raat ko khwab mein, uriyan sar-e-Zehra dekhaaa Mujraee khalq mein
8. Jaake Zainab ne, madine mein kaha, Sughra say ..(2)
Kahoon kis mu say ke pardes mein, kya kya dekhaaa Mujraee khalq mein
9. Zulm aai Mujraee Sajjad ne, kya kya dekha ..(2)
Ghar luta, qaid hue, aur baap ka laashaa dekhaaa
Mujraee khalq mein