Khamosh Hai Ali

- Asif Reza Khan (2013)


Ya ali.murtuza..(6)
Sabr ki inteha..(2) Sabr ka hai khuda..(2)
Rulaya zehra ko jalaya ghar logo..(2)
Khamosh hi ali..(2)
Khuda ki marzi par jhuka ke sar logo
Khamosh hi ali..(2)

1. Ahmed ke liye ummat kaghaz bhi na laayi hai
hizyaan ki tohmat bhi ummat ne lagai hai ..(2)
Jalaal me bhi hai ajab sabar logo

2. Mayyat ko mohd ki kyu chhod gaye logo
Ashabe nabi dekho chalte hai saqeefe ko ..(2)
Laga hai seene par zakham magar logo

3. Ummat ney zehra ko darbaar bulaya tha
Ahmed ki sanad phaadi zehra ko rulaya tha ..(2)
Sanad ke un tukdo ko thaam kar logo

4. Zehra ka wo darwaza ummat ne jalaya phir
Roti hui bibi ko mohsin pe rulaya phir ..(2)
Do aansu aankho me liye magar logo

5. Taboot bhi zehra ka ummat ne sataya hai
Haider ne andhere me taboot uthaya hai ..(2)
Ye turbate zahra samet kar logo

6. Haider ko bila shuba kaunain ki wali hai
Ashabe nabi firse haider se sawali hai ..(2)
Khilafat ko jholi me daal kar logo

7. Aae hue haider ne kaabe ko sawara tha
Jannat ke liye dekho sajde se sidhara tha ..(2)
Khud apne qatil ko jagake fir logo

8. Irfan sitam dekho kehte hai zamane me
Milti hai shifa asif sarwar ke gharane me ..(2)
Shifa har ek ghum ki wo baat kar logo