Deti thi sada zahra aa dekh zara baba

- Meesum Abbas (2004)

Wawaila
Wawaila, ya fatematuz zahra, ya fatematuz zahra

(Binte rasool bibi batool) x4
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
Teri beti ke laashe pe roti hai qazaa baba

(Ummat ne sataaya hai, darwaaza giraaya hai) x2 Naa haath kafan mei bhi, pehloo se utha baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Kardaali sanad tukre, jutlaae gawaa mere) x2 tere baad musalmaan ko, aayi na hayaa baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
Teri beti ke laashe pe roti hai qazaa baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Haae chain na aayega, turbat mei rulaaega) x2 tere baad jo zahra ka, kya haal huwa baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Ummat ne sitam dhaaya teri beti ka haq paaya) x2 barbaad se hai khaali, lotaaya gaya baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
Teri beti ke laashe pe roti hai qazaa baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Taazim ko jis dar pe khud aap bhi rukte the) x2 haathon se laaino ke who dar bhi jala baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Tere baad teri beti maatam ko tarasti thi) x2 ummat ne tere gham mei rone na diya baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
Teri beti ke laashe pe roti hai qazaa baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Chora hai hame maadar haae kiske sahaare par) x2 kulsom ki zainab ki aati hai sada baba
(Deti thi sada zahra aa dekh zara baba) x2
(Mesum jawaad zahra roro ke ye kehti thi) x2 ye ajre risalat hai ummat ne diya baba