Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
- Mir Hasan Mir (2011)
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Basher to kya hai unbia ka asara HUSSAIN hai
Main kya baton dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
HUSSAIN fakhr-e-unbia HUSSAIN din ki laaj hai
Har ek dil ko aj bhi HUSSAIN hi ka raj hai
Yazeed kab ka mit chukka HUSSAIN tha HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Hai dil main tere bughz aur zuban peh hai khuda khuda
Dar-e-HUSSAIN chor ke bhatakne wale sun zara
Khuda us taraf hai jis taraf mera HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Sina ki nok se khuda ne apna zikr jab suna
To us ne tere zikr ko yeh martaba ata kiya
Jahan azaan bhi nahi wahan bhi ya HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Idher rasool-e-pak hain udher janab-e-sayeda
Hai pusht per hassan to samne ali-e-murtaza
Bas in ke darmiyaan hi pala barha HUSSAIN hai
Main kya baton do tumhein keh kya HUSSAIN hai
Tha ek nusaairi shook main najaf se karbala gaya
Jo dekha jalwa noor ka wahan to us ne yeh kaha
kasam ali ki aj se mera khuda HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
mile jo per to ro diya khushi se fitr se hazin
kahan paroon se dekh ker who arsh who zameen
wohi hai marzi-e-khuda jo chahta HUSSAIN hai
Main kya baton do tumhein keh kya HUSSAIN hai
Basher to kya hai unbia ka asara HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai