Meray Moula mujhey do sahaara
- Miscellaneous (2014)
Meray Moula mujhey do sahaara
Meiney thama hay daman tumhara
Dhalthe suraj ko tumne ubhara
Meiney thama hay daman tumhara
Tum hee mushkil Kushaey jahan ho
Tum hee moulay koun o makaan ho
Ambiya nay bhi tum ko pukara
Meiney thama hay daman tumhara
Meree kashtee bhawar mein phasee hay
Dushmanoo kay labaon par hasi hai
Kardo nazdeek mujh sey kinara
Meiney thama hay daman tumhara
Gardeshon mein muqaddar hay mera
Kya karoon char soo hay andhera
Thum jo chaho to chamkey sitara
Meiney thama hay daman tumhara
Ranj mey kab sey mein mubtalaa hoon
Kab sey moula aseeray balaa hoon
Kya taraapna mera hay gawara
Meiney thama hay daman tumhara
Munharif ho chalaa hay zamanaa
Zindigi ban rahee hay fasaana
Dekho meri taraf ab khudaraa
Meiney thama hay daman tumhara
Tum ho moula Hasan ki duhaee
Sarware bey kafan ki duhaee
Sun lo faryaad meree Qudaraa
Meiney thama hay daman tumhara
Bahray Abbas bazoo ko thamo
Bayriyaan bahr Sajaad katoo
Ya Ali mein hoon banda tumhara
Meiney thama hay daman tumhara
Waasta Akbare naujawaaan ka
Waasta chay maheeney ki jaan ka
Kar do rahmath ko bus abb ishaara
Meiney thama hay daman tumhara
Dushmano ko mera haq dekha doo
Hosh ka unko sharbath pila doo
Kar do bus in pay ye aashkaara
Meiney thama hay daman tumhara