Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya Bin tere na ghar jaungi bhaiyya

- Nadeem Sarwar (1990)


Abid ne kaha aake kareeb bint e ali ke
Ab sue watan chaliye phuphi jaan mai sadqe
Sunkar ye khabar zakhm e jigar phatt gaye saare
Markad se lipat kar kiye zainab ne naale

Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya
Bin tere na ghar jaungi bhaiyya

Atthara baras ka ali akber bhi yahi hai
Cheh maah ka nanha ali asghar bhi yahi hai
Hai khaak basar farwa ka dilber
Paamal badan qasim e muztar
Kis dil se mai ghar jaungi bhaiyya

Kya din the ke aabad tha zahra ka gulistan
Ye kiski nazar kha gayi sab ho gaya veeran
Baki nahi ab koi nigehbaan
Sab bhai mere ho gae bejaan
Marjaungi Marjaungi bhaiyya

Abbas se aur tumse hai zainab ko nidamat
Zindaan me chord aai hu dono ki imanat
Kya toot gai mujhpe qayamat
Kis darja hai zainab ko khijalat
Wo labb pe nahi laungi bhaiyya

Sota hai mera dhoop me nanha ali asghar
Kehti hai ye bano ke hai waali bhi yahi per
Zindaan me ek mar gayi dukhtar
Baithegi na ab saaye me madar
Kya kehke mai samjhaungi bhaiyya

Tayyar nahi sue watan jane ko laila
Wo kehti hai mai chord du kis tarha se tanha
Atthara baras ka mera beta 
Reh jaega is bann me akela
Kaise use samjhaungi bhaiyya

Aamad ki khabar sunke "anees" aayenge saare
Ye neel numaya hai jo baazu pe rasan ke
Gar pooch liya mujhse kisi ne
Batlaungi unko mai ye kaise
Buss sharm se marr jaungi bhaiyya.