Sakina bibi ke bain irfan haram mein
- Nasir Zaidi (1990)
sakina bibi ke bain irfan haram mein mehsher utha rahe hain
bapa hai randon mein shor-e-matam hussain marne ko jaa rahe hain
kahin pa ghush mein paray hain abid kahin pe baqar tarap raha hai
woh chand bachay sisak rahe hain woh chand ansoo baha rahe hain
bari qayamat ka hai yeh manzer janab-e-fizza ka imtehan hai
behen se chup ker hussain beshak libas-e-kohna manga rahe hain
kahan ho abbas aun-o-akbar kahan ho qasim hasan ke dilber
sawari lao rakab thamo imam tum ko bula rahe hain
sumo se ghoray ke aik bachi lipat gayi beqarar ho ker
bana ke banhon ka apni jhoola hussain usko sula rahe hain
woh hashr utha woh taighain chamkin woh teer bersay woh aaye pather
hussain pusht-e-faras pe bethey lahu mein apne naha rahe hain
zameen pe zeen se woh aaye mola woh cha gaya her taraf andhera
nabi ke deen ki asaas rakhne hussain sajde mein jaa rahe hain
aray koi shimr se yeh keh de abhi na khanjer chala sitamger
batool bali'n per aa chuki hain rasool maqtal mein aarahe hain
woh aayi sham-e-ghariban run mein woh hashr utha bala ke ban mein
haram ke burqay utar rahe hain la'een khaimay jala rahe hain
nabi ke bete ka farq-e-aqdas quran se kam nahi hai nasir
na janay kaise hain yeh musalman quran per khanjer chala rahe hain